Pages

Showing posts with label Poetry. Show all posts
Showing posts with label Poetry. Show all posts

Friday, 15 June 2012

Arz Kia Hai...(2)

Sabhi darwaaze hain band dekhoSabhi raastey hain tang dekhoPar raahi ke hausley ke saamneSabhi uske saathi hain dang dekho
 
Hawaa ko kaun door rok paaya haiPaani ko kaun floor rok paaya haiBas isi ummeed me ki manzil milegiAaj sab log hain uske sang dekho
 
Na chaal dekho, na dhaal dekhoNa hi uska kya hai haal dekhoKya paana hai usko bhi kya pataPar sirf uske jeeney ka dhang dekho
 
Dil me lekar armaan kayiDene ko hain farmaan kayiChoomne ko khula aasaman koiUdi hai aaj ye patang dekho

Arz Kia Hai... (1)

Har chehre ke peechey ek aur chehra hai
Har muskuraahat pe shikan ka pehra hai
Upar se to lagti hai ye sirf ek kharonch
Par asal me ye zakhm utna hi gehra hai

Kehte hain samay ko koi bhi rok na paaya
Par haqueekat me waqt yahin pe thehra hai
Yun to sunne waale hain kayi yahan pe
Par gaur se dekho to har koi behra hai